Haal-E-Dil Is Tarah Chhupata Hun

hāl-e-dil is tarah chhupātā huuñ jab bhī miltā huuñ muskurātā huuñ raat bhar ḳhvāb jo sajātā huuñ din nikaltā hai

Pahli Bar Mile the Tum

pahlī baar mile the tum tab the kitne bhole tum kal to ḳhuub chahakte the aaj nahīñ ho vaise tum

Halki Halki Dhup Khili Thi

halkī halkī dhuup khilī thī vo mere baazū baiThī thī maiñ khoyā khoyā rahtā thā vo uljhī uljhī rahtī thī