• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Talluq Ke Taqazon Ko Bhi Kha Jata Hai

Ye Talluq Ke Taqazon Ko Bhi Kha Jata Hai

ye ta.alluq ke taqazon ko bhi kha jaata hai

shak mohabbat ki kitabon ko bhi kha jaata hai

main to ik maans ka TukḌa huun miri kya auqat

gham ka kiiḌa to pahaḌon ko bhi kha jaata hai

raat karti hai ḳhamoshi se hifazat din ki

din magar chand sitaron ko bhi kha jaata hai

ye to dariya pe hai paani se bana kar rakkhe

varna sailab kinaron ko bhi kha jaata hai

mere kamre men bhara rahta hai dastak ka ghubar

ye vo ghun hai jo kivaḌon ko bhi kha jaata hai

tujh men parvaz ki quvvat hai magar dhyan rahe

ik ahankar uḌanon ko bhi kha jaata hai

do ghaḌi rukna zaruri hai ‘musavvir’ varna

rasta paanv ke chhalon ko bhi kha jaata hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Kaha Howat Hai dandi Son

poet

Khub-Ru Sab Hain Magar Hura-Shamail Ek Hai

khwaja-meer-dard

Sina-O-dil Hasraton Se Chha Gaya

Kya Gul Khilae Dekhiye Tapti Hui Hawa

Meri Mohabbat Ki Be-KHudi Ko Talash-E-Haqq-E-Jalal Dena

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet