• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Kitni KHud-Gharaz Makkar Duniya Humne Dekha Hai

Hai Kitni KHud-Gharaz Makkar Duniya Humne Dekha Hai

hai kitni ḳhud-gharaz makkar duniya ham ne dekha hai

ḳhud apni hi tabahi ka tamasha ham ne dekha hai

hamare ghar jale hain ḳhud hamare hi charaghon se

khuli ankhon se apnon ka irada ham ne dekha hai

ye sajda-rez tak hoti hai duniya jabr ke aage

kahin Dar se baja laati hai mujra ham ne dekha hai

qayamat-ḳhez tufanon men barsati havaon men

ubharte Dubte dil ka jazira ham ne dekha hai

tasalli dene vaale ḳhud maza lete hain hans hans kar

pas-e-ehsan-o-hamdardi dikhava ham ne dekha hai

saf-e-matam ki tayyari kahin shahna.iyan sargarm

dikhati hai ye duniya rang kya kya ham ne dekha hai

hua kya is se hasil mai-kade vaalo bata dena

jo girne aur sambhalne ka tamasha ham ne dekha hai

ḳhulus-e-dil se saari sarhaden mil jaati hain ‘najmi’

jahan milte hain sab raste vo rasta ham ne dekha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aaina-E-dil Mein Kuchh Agar Hai

afroz-rizvi

Wo Mahakta Hai Jo Khushbu Ke Hawalon Ki Tarah

puja-bhatia

Sard Rishton Ki Barf Pighli Hai

bahadur-shah-zafar

Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye

Sadiyon Se Main Is Aankh Ki Putli Mein Chhupa Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet