hamen saliqa na aaya jahan men jiine ka
kabhi kiya na koi kaam bhi qarine ka
tumhare saath hi us ko bhi Duub jaana hai
ye janta hai musafir tire safine ka
kuchh us ka saath nibhana muhal tha yuun bhi
hamara apna tha andaz ek jiine ka
saḳhavaton ne gohar-saz kar diya hai unhen
koi sadaf nahin mohtaj abgine ka
Leave a Reply