kamal-e-zabt ko yaksar bhi azmana nahin
tabah kijiye chup-chap par jatana nahin
tu shahr-e-dil men naya hai so mashvara sun le
ziyada gahre marasim yahan banana nahin
chala gaya hai magar ye sabaq sikha gaya hai
taras dobara kisi dil-zada pe khana nahin
kuredte hue qismat ke band tah-ḳhane
lage hain saanp mire haath par ḳhazana nahin
ab is maqam se raste juda hain tere mire
havale rab ke chale jaao aur bhulana nahin
supurdagi to baḌa mas.ala nahin lekin
harim-e-zat men ḳhud mera ana-jana nahin
bachao us ko miyan vasl ki mashaqqat se
ye ishq apni tabi.at men amiyana nahin
Leave a Reply