go qayamat se peshtar na hui
tum na aa.e to kya sahar na hui
aa ga.i niind sunne valon ko
dastan gham ki muḳhtasar na hui
ḳhuun kitne sitam-kashon ka hua
aankh us sang-dil ki tar na hui
us ne sun kar bhi an-suni kar di
maut bhi meri mo’atabar na hui
saath taqdir ne kabhi na diya
koi tadbir kargar na hui
chain ki justuju rahi din-rat
zindagi chain se basar na hui
mujh ko milti na ai ‘vafa’ manzil
aql qismat se rahbar na hui
Leave a Reply