jahan murad hai tu us taraf ishara kar
tire nasib ke ta.ane mujhe na maara kar
kabhi to baiTh ke yaron ke saath chaa.e pi
kabhi to baiTh ke fursat se din guzara kar
ai ḳhush-mizaj bahut sa ḳhayal rakh apna
ai pur-jamal tu apni nazar utara kar
yahi nasib hai taqsim isi ko kahte hain
kisi ki maan le chadar men rah guzara kar
mira yaqin kare chhoḌ de tujhe tanha
tiri to manta hai chand ko ishara kar
Leave a Reply