ye to socha hi nahin us ko juda karte hue
chun liya hai gham bhi khushiyon ko riha karte hue
jin charaghon par bharosa tha unhon ne akhirash
sazishen kar liin havaon se dagha karte hue
aankh ke sanduqche men band hai ik sail-e-dard
dar rahi huun qufl un palkon ke va karte hue
janti thi kab bhatakti hi rahegi dar-ba-dar
ham-safar apna sahabon ko ghata karte hue
dost ko pahchanti thiin ankhen na dushman koi
phod daala hai unhen apni saza karte hue