na rah-rau hain ikaTTha na rah-dan paida
to kya zamin se ho jaa.e karvan paida
mashaqqaton se na ghabra na zahmaton se kabhi
ki phuul hote hain kanTon ke darmiyan paida
vo ḳhalq-o-amr ke malik hain vo agar chahen
to ik ishare se hote hain sau jahan paida
zamin ko gardish-e-aflak se najat nahin
“ba-har zamin ki rasidem asman paida”
tumhin bahar ho mere liye ki hota hai
tumhare ariz-e-gul-gun se gulsitan paida
batao kaun hai jis ka jamal-e-jan-parvar
ba-har-makan hai numudar o har-zaman paida
‘uruj’ tu na ho ghamgin hujum-e-a.ada se
isi hujum se hote hain mehrban paida
Leave a Reply