tirgi naam hai dil valon ke uTh jaane ka
jis ko shab kahte hain maqtal hai vo parvane ka
chal bayaban ki taraf ji nahin ghabrane ka
ruh-e-majnun se ghar abad hai virane ka
dida-e-dost tiri chasm-numa.i ki qasam
main to samjha tha ki dar khul gaya maiḳhane ka
dam-e-aḳhir ki mulaqat men kya tum se kahun
vaqt hi tang bahut hijr ke afsane ka
daman-e-sham.a pe dhabba na raha vaah re ishq
ḳhuun ab tak nazar aaya nahin parvane ka
tang hai sehn-e-jahan saath na le bar-e-amal
rasta milta hai mushkil se guzar jaane ka
gul-o-ahu chaman-o-dasht men kah jaate hain kuchh
kahin mauqa nahin ai dil tire bahlane ka
roke jaate hain rah-e-dost ke chalne vaale
vahi dushman hai jo hamdard hai divane ka
qabr vaale mue mamnun-e-ziyarat lekin
naam badnam kiya aap ne virane ka
hijr ne kaun sa paivand laga rakkha tha
rasta mil gaya ḳhanjar ko guzar jaane ka
to shab-e-gham ko na samjha ho to main samjha duun
vahi maidan-e-shahadat tire parvane ka
qissa-e-bagh hai aur meri masarrat ki umiid
Dhang aata nahin sayyad ko bahlane ka
bazm-e-rangin men tiri zikr-e-gham aaya to sahi
ḳhush rahe chheḌne vaala mire afsane ka
ashiyan abla-e-bagh hai ai soḳhta-dil
ik nishan chhoḌ chala huun tire jal jaane ka
ibrat-e-aql hai varaftagi-e-ahl-e-mazaq
hosh valon men hai charcha tire divane ka
hasb-e-farma.ish-e-gardish hain gharibon ke mazar
asman dost hai manzar mire virane ka
hissa-e-baḳht ka maane hai yahi daur-e-falak
baḌh gaya ghuum ke rasta mire paimane ka
ho gaya gharq sar-e-sho.ala-e-sham-e-mahfil
ḳhuun uncha hua utna kisi parvane ka
naza.a ke vaqt jo kahta huun vo samjhe ki nahin
bab-e-avval to yahin ḳhatm hai afsane ka
le pareshani-e-dil ab hai tiri umr daraz
vaqt khinchne laga zulfon ke sanvar jaane ka
choT khane se dabi aag ubhar aa.i hai
rang badla hai mire dil ne sanam-ḳhane ka
dagh-e-dil qabr ki zulmat men hai be-nur aisa
jaise dekha ho charagh aap ne virane ka
husn aur ishq ke nairang ḳhuda hi jaane
sham.a jalti hai ki dil jalta hai parvane ka
dekh ḳhun-e-sar-e-farhad ka rangin patthar
ye nagina hai banaya hua divane ka
naza.a ik iid hai rote hue vo aa.e hain
ai dil-e-zar yahi vaqt hai mar jaane ka
ahl-e-dil jagte-sote men suna karte hain
vaqt koi nahin ‘saqib’ mire afsane ka
Leave a Reply