din-ba-din safha-e-hasti se miTa jaata huun
ek jiine ke liye kitna mara jaata huun
apne pairon pe khaḌa bolta paikar huun magar
ahaTon ki tarah mahsus kiya jaata huun
tu bhi jaise miri ankhon men khincha jaata hai
main bhi jaise tiri sanson sama jaata huun
nuur ki shaḳh se TuuTa hua patta huun main
vaqt ki dhuup men ma.adum hua jaata huun
saath chhuTa to kaḌa vaqt zarur aa.ega
aap kahte hain to be-shak main chala jaata huun
hadse jitna mujhe duur kiye dete hain
utna manzil se main nazdik hua jaata huun
dekhne men to main zarra nazar aata huun ‘salim’
dekhte dekhte ḳhurshid pe chha jaata huun
Leave a Reply