ye jab hai ki ik ḳhvab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
chehron ke samundar se guzarte rahe phir bhi
ik aks ko a.ina tarasta hai hamara
un logon se kya kahiye ki kya biit rahi hai
ahval magar tu to samajhta hai hamara
har moḌ pe paḌta hai hamen vasta is se
duniya se alag kahne ko rasta hai hamara
Leave a Reply