naam loge jo yaan se jaane ka
aap men phir nahin main aane ka
ham ko tauf-e-haram men yaad aaya
ladkhadana sharab-khane ka
dam le ai chashm-e-tar ki dekhun main
aalam us gul ke muskurane ka
dekh sakte nahin vo mera haal
kya sabab kahiye muskurane ka
dil-e-sad-chak ki bana surat
zulf par dil gaya hai shane ka
jalva is zid se vo dikha denge
ham ko daava hai taab laane ka
sun ke vo haal kahte hai ‘taskin’
naam bhi kuchh hai is fasane ka
Leave a Reply