sarab-e-zist men simTa hua huun
samundar huun magar qatra-numa huun
ḳhuda se mil ke ḳhud main aa gaya huun
ab a.ine ko sajda kar raha huun
tumhen bhi dost apna janta huun
baḌi ḳhush-fahmiyon men mubtala huun
junun huun ya ḳhirad ki intiha huun
na samjha aaj tak ḳhud bhi main kya huun
haqiqat ko fasana kaise kah duun
fasane ko haqiqat kah chuka huun
zamana mujh men ḳhud ko dekhta hai
hazaron suraton ka aa.ina huun
Leave a Reply