tamanna.en aziyyat ka nazara ham na kahte the
ḳhasara hai ḳhasara hi ḳhasara ham na kahte the
tumhari intiha.en ant par be-sud nikli hain
samundar jitna gahra utna khara ham na kahte the
na tu bandon se hai raazi na bande tujh se raazi hain
ḳhuda.i rog hai parvardigara ham na kahte the
ye maidan-e-tag-dau hai mashaqqat hi mashaqqat hai
vahi jitega jo sau baar haara ham na kahte the
ghulami ko to azadi samajhte hain yahan insan
ye hathkaḌiyon men kar lenge guzara ham na kahte the
chuna tha tu ne jo rasta use ham tark kar aa.e
siyanon ko hai kaafi ik ishara ham na kahte the
sabhi ne apne tinke bhi bil-aḳhir ḳhud uTha.e hain
nahin hoga yahan koi sahara ham na kahte the
na ‘zishan’ agahi puuri hui umren huiin puuri
na hoga ilm ka koi kinara ham na kahte the
Leave a Reply