falak ke hathon jidhar munh uthae jaata huun
udhar se juun gul-e-bazi tapancha khata huun
kabhi hai ankhon men zar diida pe nigah un ki
ki main har ek se aankh apni ab churata huun
hava ke ghode pe jab vo savar hote hain
to pa ke vaqt main kya kya maze udata huun
khilafi un ke vo ankhen jo yaad aati hain
to apni ankhon ko ro ro ke main sujata huun
bala se gar nahin milte vo mujh se par ‘maruf’
unhon ka shahr main ashiq to main kahata huun
Leave a Reply