din-ba-din ab lutf tera ham pe kam hone laga
ya to tha vaisa karam ya ye sitam hone laga
sach kaho taqsir kya hai ashiq-e-mazlum ki
nimcha tirchhi nigah ka kyuun alam hone laga
tegh-e-abru kuun nipat kaste ho pan hairan huun main
kaun se bimar par ye aab dam hone laga
shukr-e-allah sarv-e-rana ke tasavvur ke tufail
rafta rafta dil mira bagh-e-iram hone laga
bas karo ai shah-e-fauj-e-husn qatl-e-am kuun
ashiqon ki aah ka neza alam hone laga
tujh kuun ai ahu-nigah kis ne sikhaya ye tarah
ya to tha auron siin ram ya ham siin ram hone laga
hijr ki raton men ye misraa hua vird-e-‘siraj’
din-ba-din ab lutf tera ham pe kam hone laga
Leave a Reply