sharh-e-dard-e-ashiqi karte hain ham
zaḳhm ki sauda-gari karte hain ham
doston tum se koi shikva nahin
dosto tum ko bari karte hain ham
zindagi teri suhulat ke liye
kuchh iradon men kami karte hain ham
bujh rahi hain ghar ki divaren magar
maqbaron par raushni karte hain ham
ek rasmi nek-chalni ke liye
kin gunahon ki nafi karte hain ham
ham ko sab rusva.iyan manzur hain
ihtiram-e-admi karte hain ham
Leave a Reply