ghazal kahne men yuun to koi dushvari nahin hoti
magar ik mas.ala ye hai ki meyari nahin hoti
agar chehra badalne ka hunar tum ko nahin aata
to phir pahchan ki parchi yahan jaari nahin hoti
samundar se to majburi hai us ki roz milna hai
bahut chalak hai lekin nadi khari nahin hoti
bata.un kya mujhe mohtat rahna aa gaya kaise
na jaane mujh pe kyuun vahshat koi taari nahin hoti
sipahi se sipah-salar banna kitna asan hai
magar majbur huun main mujh se ghaddari nahin hoti
hava ki shart ham kyuun mante kyuun is tarah dabte
hamen gar saans lene ki ye bimari nahin hoti
Leave a Reply