shikasta dil kisi ka ho ham apna dil samajhte hain
tire gham men zamane bhar ke gham shamil samajhte hain
hui hain is qadar asaniyon se mushkilen paida
har asani ko ham apni jagah mushkil samajhte hain
vo ḳhud dekhe magar us ko koi na dekhne paa.e
tira andaz ham ai parda-e-ha.il samajhte hain
kisi ka haath zaḳhmon par kisi ka haath gardan men
masiha kaun hai aur kaun hai qatil samajhte hain
had-e-dil se to bahar dard tera ho nahin sakta
jahan tak dard hai tera vahan tak dil samajhte hain
majal-e-did ki mohlat na den lekin ye kya kam hai
vo ham ko apni bazm-e-naz ke qabil samajhte hain
ta.ayyun husn-e-maqsad ka nahin is ke siva koi
Thahar jaa.en jahan ham bas use manzil samajhte hain
kahan tak ham musalsal ruḳh badalte jaa.en kashti ka
vahi tufan nikalta hai jise sahil samajhte hain
unhen fursat kahan ye bhi ghanimat janiye ‘aḳhgar’
ki vo dil ko kisi ta.azir ke qabil samajhte hain
Leave a Reply