doston se to kinara bhi nahin kar sakta
un ka har zulm gavara bhi nahin kar sakta
mera dushman mire apnon men chhupa baiTha hai
us ki janib main ishara bhi nahin kar sakta
shab men niklega nahin us pe musallat hai nizam
din men suraj ka nazara bhi nahin kar sakta
aish-o-ishrat ka talabgar nahin huun phir bhi
tang-dasti men guzara bhi nahin kar sakta
shauq aisa ki machalta hai mohabbat ke liye
jurm aisa ki dobara bhi nahin kar sakta
gham hai betab ki ankhon se nikal jaa.e magar
dil ki daulat ka ḳhasara bhi nahin kar sakta
Leave a Reply