dekh kar log hue shashdar-o-hairan mujhe
tu kahan hai shab-e-gham aan ke pahchan mujhe
qais-o-farhad har ik gaam pe aate hain nazar
jaane kis dasht men laaya mira vijdan mujhe
vaqt ka hai ye taqaza ki main ab chup na rahun
aap kyuun dekh ke hone lage hairan mujhe
ab to har phuul bhi kanTe se siva lagta hai
gulshan-e-zist nazar aata hai viran mujhe
aap ke jaane se mahsus kiya hai dil ne
zindagi chhoḌ ga.i be-sar-o-saman mujhe
mushkilen meri tabi.at ko hain marghub bahut
zindagi chahiye hargiz nahin asan mujhe
Leave a Reply