tarah tarah se mira dil baḌhaya jaata hai
magar kahe se kahin muskuraya jaata hai
abhi main soch raha tha ki kuchh kahun tujh se
ki dekhta huun tira ghar sajaya jaata hai
gunahgaron men baiThe to inkishaf hua
ḳhuda se ab bhi bahut ḳhauf khaya jaata hai
na.e na.e vo adakar jante hi na the
ki parda girte hi sab bhuul jaaya jaata hai
tavaqquat ka yuun bhi ḳhayal rakhta huun
baḌe yaqin se mujhe azmaya jaata hai
tamam umr mila.i junun ki taal se taal
ye giit sab se kahan gungunaya jaata hai
ab is tarah ki mohabbat kabhi na ho shayad
ki darmiyan men kahin jism aaya jaata hai
samajh men aa.e na aa.e ye kuchh hua hai zarur
yaqin jo tujh pe mira Dagmagaya jaata hai
Leave a Reply