Dil Hamara to Kahin Khoya Nahin Tha

dil hamārā to kahīñ khoyā nahīñ thā

haañ tumhāre paas bas DhūñDhā nahīñ thā

us se keval dostī chāhī thī ham ne

ishq kar baiTheñge ye sochā nahīñ thā

us kī narmāhaT abhī tak hai laboñ par

vo mahz ik aam sā bosa nahīñ thā

ek laḌkī dil lagā.e tab se baiThī

ishq karnā jab mujhe aatā nahīñ thā

ab kabhī milnā nahīñ hogā hamārā

ḳhat meñ aisā to kahīñ likhā nahīñ thā

dard tanhā.ī taḌap aañsū vaġhaira

yaar tere ishq meñ kyā kyā nahīñ thā

āḳhirash dil chal paḌā us kī hī jānib

aur kuchh is ke sivā chāra nahīñ thā

tum yaqīñ maano tumhārā hī asar hai

varna ye patthar kabhī dhaḌkā nahīñ thā

bin tumhāre naam ham likhte bhī kaise

so ġhazal meñ jaan kar maqtā nahīñ thā

Leave a Comment