• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kya Hua Ki Sabhi Ab to Dagh Jalne Lage

Ye Kya Hua Ki Sabhi Ab to Dagh Jalne Lage

ye kya hua ki sabhi ab to daagh jalne lage

hava chali to lahu men charagh jalne lage

miTa gaya tha lahu ke sabhi nishan qatil

magar jo shaam Dhali sab charagh jalne lage

ik aisi fasl utarne ko hai gulistan men

zamana dekhe ki phulon se baagh jalne lage

nigah-e-ta.ir-e-zindan uThi thi ghar ki taraf

ki soz-e-atash-e-giryan se daagh jalne lage

ab us maqam pe hai mausamon ka sard mizaj

ki dil sulagne lage aur dimagh jalne lage

ab aa bhi ja ki yuun hi duur duur rahne se

ye mere honT vo tere ayagh jalne lage

naha ke nahr se ‘salim’ pari vo kya nikli

ki tab-e-husn se ḳhud astabagh jalne lage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-faraz

Gila Fuzul Tha Ahd-E-Wafa Ke Hote Hue

ada-jafarey

Shayad Abhi Hai Rakh Mein Koi Sharar Bhi

Bu-E-Gul Chahte Hain Raqs-E-Saba Chahte Hain

Hamare Chehre Pe Ranj-O-Malal Aisa Tha

Ek Se Jazbe KHun Mein surKHi Ek Hi Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet