• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khizan Ka Khauf Bhi Hai Mausam-E-Bahaar Bhi Hai

Khizan Ka Khauf Bhi Hai Mausam-E-Bahaar Bhi Hai

kavita-kiran

khizan ka khauf bhi hai mausam-e-bahar bhi hai

kabhi tumhara kabhi apna intizar bhi hai

simatti jaati huun badhti hain duriyan jab bhi

ajiib shakhs hai nafrat bhi us se pyaar bhi hai

hua hai zakhmi mira e’timad jis din se

udaas hi nahin dil mera be-qarar bhi hai

alag hai sab se tabiat hi us ki aisi hai

vo be-vafa hai magar us pe e’tibar bhi hai

baharen jaati hain jaane do tum to ruk jaao

bahut dinon se tabiat men intishar bhi hai

khadi huun aaj bhi main sang-e-mil ki surat

‘kiran’ kisi ka zamane se intizar bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nind Mein Khulte Hue KHwab Ki Uryani Par

Itna Bhi Ai KHuda Mujhe Mashhur Tu Na Kar

Ek Shoala-E-Hasrat Hun miTa Kyun Nahin Dete

Hath Mein Apne Hifazat Ka Asa Le Jaana

Na Bulwaya Na Aae Roz Wada Kar Ke Din kaTe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet