ghaflat men farq apni tujh bin kabhu na aaya
ham aap ke na aae jab tak ki tu na aaya
saaqi ne jam-e-mai to shab pai-ba-pai diya par
niyyat bhari na apni jab tak subu na aaya
kotah hai nihayat dast-e-dua hamara
daman asar ka ja kar ik baar chhu na aaya
ashiq ko tere kal se thi jan-kani ki halat
sab dekhne ko aae allah tu na aaya
phunka bhi tur-o-vadi baaz ai ‘khaliq’ lekin
apni shararaton se vo shoala-khu na aaya
Leave a Reply