darun zaat ka manzar zamane par nahin khola
basar ik raat karni hai abhi bistar nahin khola
musafir huun main bhuka huun sada.en diin bahut lekin
dariche khol kar dekhe kisi ne ghar nahin khola
main tujh se mangta huun is liye maula niDar ho kar
ki jab manga mire a.amal ka daftar nahin khola
yahan par hu ka aalam hai yahan aaseb baste hain
muqaffal hai ka.i barson se dil ka dar nahin khola
tamasha ban gaya azad ho kar sab ki nazron men
qafas khola magar sayyad tu ne par nahin khola
pas-e-divar teri yaad men ro.e bahut lekin
sar-e-bazar ham ne yaar apna sar nahin khola
Leave a Reply