apne vahm-o-guman se nikla
main andhere makan se nikla
be-rukhi dekh ab zamane ki
muddaa kyuun zaban se nikla
samt ka gham na tha safine ko
ye alam badban se nikla
dhuup barsa rahi thiin talvaren
phir bhi main saeban se nikla
vaqt mohlat na dega phir tum ko
tiir jis dam kaman se nikla
aa gaya lijiye sahil-e-hasti
main bade imtihan se nikla
zindagi ka naya mizaj ‘niyaz’
dard ke khandan se nikla
Leave a Reply