asman sahil samundar aur main
khulta phir yadon ka daftar aur main
chaar samten aina si har taraf
tum ko kho dene ka manzar aur main
mera ujla-pan nae andaz men
teri bakhshish maili chadar aur main
ek murat men tajrabe nit-nae
kitne be-kal mera aazar aur main
khulte hain asrar ajab alam men
band hota vo har ik dar aur main
raat ik tarik pinjra yaas ka
phadphadata ek paikar aur main
Leave a Reply