jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin
ai tabib un ki bhi duniya men dava hai ki nahin
ḳhub-ru jitne hain aalam men jafakar hain sab
yaad kya janen unhen taur-e-vafa hai ki nahin
tang itna hai zamana ki chaman men gul tak
sub.h-dam chak-gareban hi saba hai ki nahin
miri be-tabi ke ahval ko shab ke us se
nama-bar tu ne zabani bhi kaha hai ki nahin
zulm hai ye to ki dil lijiye aur rahiye ḳhafa
kahin insaf zamane men raha hai ki nahin
shaiḳh kahte hain mujhe dair na ja ka.aba chal
barhaman kahte hain kyuun yaan bhi ḳhuda hai ki nahin
apne yaron men koi ja ke adam se na phira
kyuun ‘muhib’ un ki ḳhabar laani baja hai ki nahin
Leave a Reply