din-ba-din nadan banta jaa.e hai
aadmi haivan banta jaa.e hai
jhuuT makkari tasanno maslahat
ḳhud-gharaz insan banta jaa.e hai
aarzi ḳhushiyon ka takmil-e-amal
ḳhuun ka sailan banta jaa.e hai
ḳhvahishon ki ghan-garaj ke darmiyan
zehn registan banta jaa.e hai
phuul ki diida dileri ka azaab
ḳhaar par bohtan banta jaa.e hai
har nazar ye aadmi ka har usuul
maut ka saman banta jaa.e hai
Leave a Reply