• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Gungunate Raste KHwabon Ke Kya Hue

Wo Gungunate Raste KHwabon Ke Kya Hue

vo gungunate raste ḳhvabon ke kya hue

virana kyuun hain bastiyan bashinde kya hue

vo jagti jabinen kahan ja ke so ga.iin

vo bolte badan jo simaTte the kya hue

jin se andheri raton men jal jaate the diye

kitne hasin log the kya jaane kya hue

ḳhamosh kyuun ho koi to bolo javab do

basti men chaar chand se chehre the kya hue

ham se vo rat-jagon ki ada kaun le gaya

kyuun vo alaav bujh ga.e vo qisse kya hue

mumkin hai kaT ga.e hon vo mausam ki dhaar se

un par phudakte shoḳh parinde the kya hue

kis ne miTa diye hain fasilon ke fasle

vabasta jo the ham se vo afsane kya hue

khambon pe la ke kis ne sitare Tika diye

dalan puchhte hain ki divane kya hue

unchi imaraten to baḌi shandar hain

lekin yahan to ren-basere the kya hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yahan Kaun Is Ke Siwa Rah Gaya

poet

Dekh Be-Baada Kya Hai Apna Rang

shahryar

Hujum-E-dard Mila Zindagi Azab Hui

Hawa-E-Zindagi Bhi Kucha-E-Qatil Se Aati Hai

poet

Dars Deta Hai Shakebai Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet