hiras hai ye azal ka ki zindagi kya hai
ḳhuda nahin hai to logo umiid bhi kya hai
kisi ka ras koi parvaz-e-rang ki manzil
azar-e-lala-e-sahra ki tazgi kya hai
jo hai vo kuchh bhi nahin jo nahin vo sab kuchh hai
mire ḳhuda ye tamanna ki sahiri kya hai
tamam husn-e-jahan na-tamam hai ki nahin
ye apsara ka tasavvur ye jal-pari kya hai
sab apni samt ishara karen agar puchho
ki haq kidhar hai zamane men rasti kya hai
dilon ne umr bhar avaz di hai sinon se
kisi ne jhuTon bhi puchha nahin kabhi kya hai
ye gher gher ke kyuun hal-e-dil sunate ho
yahan kisi ko kisi ki miyan paḌi kya hai
batao kaun se danish-kade men paḌhne jaa.en
kahan nisab men ye hai ki aadmi kya hai
kabhi kabhi ki tursh-rui-e-jamal ki aan
ye angbin men bhi thoḌi si chashni kya hai
diya to ḳhud miri ham-ḳhvab ne bujhaya tha
to phir ye sej pe taron ki chhanv si kya hai
tire uchaTte ishare pe vaar duun janan
hazar zindagiyan ek zindagi kya hai
Leave a Reply