• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Usko Mil Kar Dekh Shayad Wo Tera Aaina Ho

Usko Mil Kar Dekh Shayad Wo Tera Aaina Ho

us ko mil kar dekh shayad vo tira a.ina ho

gha.ebana hi tiri us ki shanasa.i na ho

mujh pe zahir hai tire ji men hain kya kya ḳhvahishen

baat aisi kar ki jis men teri rusva.i na ho

ehtiyatan dekhta chal apne saa.e ki taraf

is tarah shayad tujhe ehsas-e-tanha.i na ho

asman ik dasht ki surat sitare ret hain

to lab-e-dariya sarabon ka tamanna.i na ho

DhunDh ab kuchh bhagte logon men surat ashna

in bagulon men ga.e lamhon ki purva.i na ho

tha safar dar-pesh sahra ka girah men rakh diye

us ne kuchh kanTe ki uzr-e-abla-pa.i na ho

khinch lega abr se barish agar sabza hua

tu kisi ki chaah men be-kar sauda.i na ho

ham use chhukar yahi samjhe ki vo patthar nahin

is se baḌh kar aur kya kahiye jo bina.i na ho

khul ga.i hai aankh to chadar bana kar dekh le

tere kamre hi men in ḳhvabon ki ra.ana.i na ho

zaḳhm tere dil ki zinat hain unhen parde men rakh

koi na-mahram tire ghar ka tamasha.i na ho

aaj ‘shahid’ us ke darvaze pe paanv ruk ga.e

radio bajta tha main chaunka ki shahna.i na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abbas-tabish

Mere Badan Mein Lahu Ka Kataw Aisa Tha

Us Se Kah Do Ki Wo Jafa Na Kare

poet

Bahut Hua to Meri Mohabbat Teri Gali Tak Safar Karegi

Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya

MULLA JAMI

Guftamash Ai Khizr-e-Masiha-Nafas

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet