sitam tu karta hai lekin dua bhi deta hai
mira harif mujhe hausla bhi deta hai
hai jis ka ek tabassum qarar-e-jan apna
usi ka tarz-e-taghaful rula bhi deta hai
baja ki hijr ka aalam azaab hai yaaro
magar ye arsa-e-furqat maza bhi deta hai
hai dil-navaz ghazab ka magar ye sho.ala-e-ishq
kabhi shagufa-e-dil ko jala bhi deta hai
kabhi hai maut men pinhan najat ka pahlu
kabhi vo ziist ki surat saza bhi deta hai
Leave a Reply