biiti hai ye sab dil pe hai sab dil ki zabani
hijran ki jo dilbar se main kahta huun kahani
tu yaar aziiz ankhon men hai mahr-vashon ke
niin hai mah-e-kanan bhi tire husn ke saani
abru ke tire chiin ke kya vasf kahun main
shamshir men jauhar se hai khubi ki nishani
sar par ho sar-e-bazm kahan shama men hai aab
gar ishq ki ankhen jo karen ashk-fishani
Leave a Reply