gham tira aankh ke paani se nikal aaya tha
dard phir apni fishani se nikal aaya tha
us ne hanste hue puchha tha sitamgar ka pata
aur tira naam ravani se nikal aaya tha
apni ankhon men jahan bhar ki udasi le kar
ek kirdar kahani se nikal aaya tha
ishq to charagari mangta hai is liye zaḳhm
ruuh ki resha-davani se nikal aaya tha
main ne jab us se kaha main bhi to huun dekh mujhe
vo miri yad-dahani se nikal aaya tha
Leave a Reply