• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dekhte Hain Jab Kabhi Iman Mein Nuqsan shaiKH

Dekhte Hain Jab Kabhi Iman Mein Nuqsan shaiKH

dekhte hain jab kabhi iman men nuqsan shaiḳh

aune-paune bech Daala karte hain iman shaiḳh

ba.ad muddat ke jahan men rahzanon ke din phire

sunte hain phir ho ga.e hain ab police kaptan shaiḳh

har zaban par zikr-e-haq aur dil men hai yad-e-butan

ye nahin khulta ki hain insan ya shaitan shaiḳh

ahl-e-shar to aap ko kahte hain amm-e-mohtaram

aur shaitan aap ko kahta hai bha.i-jan shaiḳh

be-takalluf haath dho kar baiTh jaate hain zarur

dekh lete hain bichha jis ja pe dastar-ḳhvan shaiḳh

shauq hai lekin ḳhilaf-e-vaza.a apni jaan kar

mol le kar ḳhud kabhi khate nahin ik paan shaiḳh

go tajavuz kar chuke hain aap bhi sau saal se

byaah ka rakhte hain lekin aaj bhi arman shaiḳh

jab ki bimar-e-mohabbat ka nahin mumkin ilaaj

de rahe hain phunk kar bekar use loban shaiḳh

kaid ho hirs-o-havas ho ya fareb-o-makr ho

aap hi ke haath rahta hai har ik maidan shaiḳh

‘shauq’-sahab un ki rag rag se hain vaqif ḳhuub ham

us ka ho jaa.e divala jis ke hon mehman shaiḳh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Harf-E-Shauq Lab Pe Hai Aur Iltija Ke Sath

poet

diyat Is Qatil-E-Be-Rahm Se Kya Lijiyega

poet

Zindagi Ka Jamal Dekha Bhi

munawwar-rana

dohra Raha Hun Baat Purani Kahi Hui

Safar Ko Phir Wahin Le Ja Rahe Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet