Na Thin to Dur Kahin Dhyan Mein paDi Hui Thin

na thiiñ to duur kahīñ dhyān meñ paḌī huī thiiñ

tamām āyateñ imkān meñ paḌī huī thiiñ

kivāḌ khulne se pahle hī din nikal aayā

bashārateñ abhī sāmān meñ paḌī huī thiiñ

vahīñ shikasta qadamchoñ pe aag raushan thī

vahīñ rivāyateñ anjān meñ paḌī huī thiiñ

ham apne aap se bhī ham-suḳhan na hote the

ki saarī mushkileñ āsān meñ paḌī huī thiiñ

pas-e-charāġh maiñ jo samteñ DhūñDtā rahā ‘turk’

vo ek lafz ke daurān meñ paḌī huī thiiñ

Leave a Comment