na raas aaya mohabbat ka ye ḳhumar mujhe
main be-qarar huun pal bhar nahin qarar mujhe
pukarta tha mujhe pyaar se jo bu-e-gulab
usi ne kanTon ka pahna diya hai haar mujhe
jo mere pyaar ko Thukra ke ho gaya anjan
kyuun apni yaad dilata hai baar baar mujhe
dila raha hai mohabbat ka phir yaqin mujh ko
chala gaya jo mohabbat men kar ke ḳhaar mujhe
na kar sakungi main ‘ḳhanda’ ab e’tibar us ka
pata hai kiya hai mohabbat ka karobar mujhe
Leave a Reply