hai ajab dhund jidhar aankh uTha kar dekhun
reg-e-sahil se nimaT luun to samundar dekhun
mere ham-sa.e men ḳhali hai kira.e ka makan
aa ke bas jaao ki main tum ko barabar dekhun
jaane kaun aa ke palaT jaata hai darvaze se
ek saaya sa main dahliz par aksar dekhun
aisa uljhaya gaya mujh ko falak-sazi men
itni mohlat hi nahin thi ki zamin par dekhun
aur gul honge khule dahr men ‘zishan’ magar
apne gulshan se bhare ji to main bahar dekhun
Leave a Reply