chain duniya men zamin se ta-falak dam bhar nahin
daagh hain ye gul nahin nasur hain akhtar nahin
sar rahe ya jaae kuchh ham mai-kashon ko dar nahin
kaun sa mina-e-mai ai mohtasib be-sar nahin
vo but-e-shirin-ada karta hai mujh ko sangsar
ye shakar-pare baraste hain junun patthar nahin
ho raha hai ek aalam tere abru par nisar
kaun gardan hai jahan men jo tah-e-khanjar nahin
dam nikalne par jo aata hai nahin rukta hai phir
dekh lo qasr-e-habab ai ahl-e-ghaflat dar nahin
aadmi to kya vo kahta hai nishan-e-pa se bhi
kyuun pada hai mere kuche men tira kya ghar nahin
ai tasavvur kyuun buton ko jama karta hai yahan
dil mira kaaba hai kuchh but-khana-e-azar nahin
shikva jo be-naukri ka karte hain nadan hain
aap aaqa hai kisi ka jo koi naukar nahin
hai kharabat-e-jahan men bhi vo saaqi se nufur
jo ki ai ‘nasikh’ ghulam-e-saqi-e-kausar nahin
Leave a Reply