‘anjum’ agar nahin dar-e-dildar tak pahunch
ho jaae kaash rauzan-e-divar tak pahunch
jaata hai koi kaabe ko aur koi su-e-dair
mujh rind ki hai khana-e-khummar tak pahunch
naale ki na-rasai ne aajiz kiya hamen
ho jaati varna aap ki sarkar tak pahunch
ye kya hai baitha baten banata hai duur se
iisa agar bana hai to bimar tak pahunch
le jaegi baha ke kabhi sail-e-chashm-e-tar
‘anjum’ kabhi to hogi dar-e-yar tak pahunch