jab tak ki dil na laaga un be-muravvaton se
ayyam apne guzre kya kya faraghaton se
balin par bhi zalim tuk yak nazar na dekha
ashiq ne jaan di to par kya hi hasraton se
mat puchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzri
kaati to raat lekin kin kin musibaton se
mazmun soz-e-dil ka kahte hi udne laage
harf o nuqat sharar-san yaksan kitabaton se
‘bedar’ sair-e-gulshan kyun-kar khush aave mujh ko
juun laala daagh hai dil yaron ki furqaton se
Leave a Reply