Tere Hai Zulf O ruKH Ki Did Subh-O-Sham Aashiq Ka

tire hai zulf o ruḳh kī diid sub.h-o-shām āshiq kā

yahī hai kufr āshiq kā yahī islām āshiq kā

piyā pe qadah-e-labrez de ai sāqī-e-mastāñ

tahī tujh daur meñ afsos rahve jaam āshiq kā

har ik yaañ manzil-e-maqsūd ko pahuñche hai tujh se hī

magar ik ḳhalq meñ firqa hai sau nākām āshiq kā

kabhī ma.ashūq ko marte na dekhā dar pe āshiq ke

yahī baaqī hai sar ma.ashūq ke ilzām āshiq kā

huā hai ḳhat ‘nasīr’ āġhāz us mah-rū ke chehre par

do-chand ab ye nazar aatā hai kuchh anjām āshiq kā

Leave a Comment