Shikwa Koi Dariya Ki Rawani Se Nahin Hai

shikva koī dariyā kī ravānī se nahīñ hai

rishta hī mirī pyaas kā paanī se nahīñ hai

kal yuuñ thā ki ye qaid-e-zamānī se the bezār

fursat jinheñ ab sair-e-makānī se nahīñ hai

chāhā to yaqīñ aa.e na sachchā.ī pe us kī

ḳhā.if koī gul ahd-e-ḳhizānī se nahīñ hai

dohrātā nahīñ maiñ bhī ga.e logoñ kī bāteñ

is daur ko nisbat bhī kahānī se nahīñ hai

kahte haiñ mire haq meñ suḳhan-fahm bas itnā

sheroñ meñ jo ḳhūbī hai muānī se nahīñ hai

Leave a Comment