ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan janan
yaad kya tujh ko dilaen tira paiman janan
yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaate hain insan janan
zindagi teri ata thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tira ehsan janan
dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan janan
avval avval ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tira chehra tha gulistan janan
akhir akhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jan janan
muddaton se yahi aalam na tavaqqo na umiid
dil pukare hi chala jaata hai janan janan
ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-janan janan
ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran janan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban janan
har koi apni hi avaz se kaanp uthta hai
har koi apne hi saae se hirasan janan
jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan janan
ab tira zikr bhi shayad hi ghazal men aae
aur se aur hue dard ke unvan janan
ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran janan
hosh aaya to sabhi khvab the reza reza
jaise udte hue auraq-e-pareshan janan