duuba hua uthun dam-e-mahshar sharab men
de den kafan jo yaar dubo kar sharab men
maane na maane koi pa itna kahenge ham
hai zauq-e-be-khudi to muqarrar sharab men
manen jo meri baat muridan-e-be-riya
den shaikh ko kafan to dubo kar sharab men
kis ke khiram-e-naz se milti hai mauj-e-jam
barpa hai ek fitna-e-mahshar sharab men
vo rind-e-bada-kash huun ki ‘mail’ pas-e-fana
jalve ne tire qahr uthaya naqab men
Leave a Reply