muravvat ka paas aur vafa ka lihaz
kare ashna ashna ka lihaz
dam-e-sajda sar saḳht tha be-adab
kiya kuchh na us naqsh-e-pa ka lihaz
na mahrum rakh mujh ko husn-e-qubul
rahe kuchh to dast-e-dua ka lihaz
vo hain paas ab bas kar ai dard-e-dil
kare kuchh maraz bhi dava ka lihaz
mila.i na ‘vahshat’ kabhi us se aankh
mujhe tha jo us ki haya ka lihaz
Leave a Reply